Friday, January 27, 2012

EHMIYAT E AHADEES

AYAT ULLAH HUL UZMA, REHBAR E MUAZZAM, IMAM E BARHAQ MOLA IMAM ALI RAZA A.S.W NE FARMAYA:-
HAMARI (MASOOMEEN A.S.W) KI AHADEES MAIN SHAK KRNE WALA BAD-TAREEN KAFIR SE BHI BAD-TAR HAI. JS NE HAMARI CHOTI SE CHOTI BAAT PR BHI SHAK KIYA WO SHETAAN KA AALA KAAR BANA. JIS NE HAMARI KISI BHIBAAT KA INKAAR KIYA US NE AYAT E QURANI KA INKAAR KIYA.
HAMARE AQWAAL KO APNI NAQIS AQOOL K DAERAY MAIN NA PARKHO. HAMARE AQWAAL KA HR HARAF WAHI E KHUDA SE HAI. HUM KHUD KUCH NAHI KEHTEY, HUM JO BHI KALAAM ZUBAAN PR LATEY HAIN WO ALLAH KA KALAAM HOTA HAI. HAMARE EHKAAMAAT PR AMAL KARO AUR APNI NAQIS AQOOL MAIN HAMARE EHKAAMAAT KO PARAKHNA CHOR DO.
HAMARA HAR QAUL HUJJAT HAI AUR UN MAIN TABDEELI NA MUMKIN HAI. HAMARE KAHEY KO RADD KRNE WALA MUQAM E IBLEES PALEED K BARABAR HAI Q K WO BHI HAMARA HI MUNKAR THA. JO AFRAAD HAMARI AHADEES KI ROSHNI MAIN ZINDAGI GUZARTEY HAIN WO HAMESHA KAMYAAB O KAMRAAN HOTEY HAIN. AUR JO HAMARI AHADEES KA INKAAR KR K APNI AQAL KO MAZHAB BANA LETEY HAIN WO HAMESHA ZALEEL O RUSWA HOTEY HEIN. ALLAH NE QURAN AUR HAMARE EHKAAMAAT KO TMAM MAKHLOOKAAT PR HUJJAT KARAR DIYA HAI AUR TA QAYAMAT YHI HUJJAT RAHEY GA..

REFERANCE:-
KHUTBAAT E RIZVI, PAGE 7, TABA MASHHAD

0 Comments:

Post a Comment



 
Design by Free WordPress Themes | Bloggerized by Lasantha - Premium Blogger Themes | Affiliate Network Reviews