Friday, January 27, 2012

HUM GIRYA O MATAM Q KRTEY HAIN????

Sabot = SURAH AL ZARIYAAT Ayat 29 Pir un ki Biwi Hairat o Hasrat ki Awaz Nikaltay howy Mutawjo howi aur Ta.ajub say Apny Mathay par peta aur kahny lage Borya banjh(bacha janay ge)..
Yeh Ayat HAZRAT SARA ka Mathy py Hath Marna bta rahe , Pory Quran mai Koi Ayat Aiesi Nahe Aye k Janab Sara ny Mathy py Peeta to Ghalat kia Maz,Allah.
Agr koi Aitraz kry k Unho ny to Ta'ajub sy Aiesa kya to Humara Jwb yeh hy k Kia MOLA IMAM HUSAIN AS ka Un k Nana ki Umat ki Taraf say Qatal Makam e Ta'ajub say Kam hy kia?
Pir Agr Para 6 SORAH NISA AYAT 148 pharain to Saf Likha hy k "Allah kisi Buri Bat ka Ba'awaz e Buland kahna Pasand nahe Farmata Sewaye Us k Jis par Zulm howa ho aur Allah Khob Janta aur Sunta hy .

Yeh Ayat Sabot hy MAZLOUM k Lye Aho Bka Jaiz hy in Alfaz ka Ishara <Siwaye us k jis par Zulm howa ho> ...
Aur Kia Inkar Kar Saktay ho k Zulm nahe howa MOLA HUSAIN Py.
Pir Ahl e Sunat k Aalim "Shah Abdul Aziz Muhadis Dahlvi" ki Kitab ""Tohfa e Asna Ashria URDU Page 523"" pharo jis ka Tarjma Molana Saad Hasan Yousafi ny kia Tba Karachi hy ..
Likha hy k "Hazrat Ali as k Bry Rewayat hy k jab Yom e Jaml Bibi Ayesha ka Lashkar Shikast Khurda aur Log Her 2 Taraf <Dono Taraf say> Mary gye , To Ap Maqtoleen ki Lashu ko Mulahaiza Farma rahy tay to APNI ZAANO ko Peet'tay tay ..
to Kia Muslmano k 4th Khalifa ko nahe Pata k Yeh Shaheed hain In py Rona Petna nahe hy?
NOTE : G yeh Shah Abdul Aziz Mohadis Dahlvi ny Jang e Jaml mai Shaheed hony walo py MOLA ALI Ka Matam Likha , Ab Btao HAZRAT ALI ko Pata nahe tha k Yeh Shodha hain???
Pir ...
Abu Saeed ki Rewayat hy Hazrat Usman ki Shahadat py Ap ki Zoja Naila ny NOHA kia.

Ref= (Tarikh e Tibri jild 2 Page 439 urdu)

HAZRAT E AYESHA , RASOOL ALLAH saww ki Wafat k Bry mai Byan Krti hain hain k "" Mai ny Ap k Sir ko Takye par rakh Dia aur Pir Uth kar AURTO k Sath Rony lagi Aur APNA SAR PEETA

Ref=(Tarikh Tibri jild 2 Urdu page 40i, Tba Karachi)

G Hazrat Ayesha ka RASOOL Saww py Matam krna Sabit howa.

Note : G MATAM aur NOHA Sahaba aur Un Ki Azwaj aur Zoja e Nabi Ki Taraf say Roz e Roshan ki Tarah Ayaa'n ho gya hy , Ab btao Kia Hazrat Usman Shaheed nahe hy??? Agr hai to Pir Un ki Biwio aur Baitio ny Q Kia Matam aur Noha Jwab Do?
Hazrat Ayesha aur Hazrat Ali as ny q kia ??

Phir ... Ahl e Sunat ki Kitab Gunjia e Hedayat Urdu Tarjma "Sa'adat" Musanif Imam Ghazali page 3 py hy k Imam Hurmain ny 478 Hjri mai Wafat pai , in ki Wafat k Din Nisha Pur k Tamam Bzar Bndh hogye , Jamae Masjid ka Mimbr Tor dia gya , un k Shahgird jo 400 k Qarib tay , Sb ny Dawat o Qalam Tor diye aur SAAL BHR tak Us k MATAM MAI MASROF Rahay.

NOTE : Wah g wah Imam Harmain Wafat pye to Pora Sal Matam aur NAWASA E RASOOL Saww ka 10 Din b Matam bardasht nahe hota??

Baqi Rah gye yeh Bat k Shaheed to Zinda hota hy to Hum b Mantay hain Yeh Bat k Shaheed Zinda hota hy , Hum To Matam Ahtajajan kartay hain Jaisy Hazrat Usman py Un ki Biwio ny Noha aur Matam kia aur Zoja e RASOOL Saww ny Matam kia ,
Q k Quran Us k lye Awaz Buland karna Jaiz smjta hy jis py Zulm howa , agr Koi Buri Bat k lye Awaz Buland kry to Woh Quran ki Nigah mai Ghalat hy , Aur Yeh Bat Kahna k Maz.Allah Imam Husain as Mazlom nahe To Yeh To Yazid ki Hemayat howi k Agr Imam py Zulm nahe Howa to Yazid ko Zalim kahna Ghalat hy Maz.Alah.

Baqi Aitraz k MOLA Bhoky Shaheed Howy Hum Q khatay hain yeh b Jahelana Bat hy Zara yeh Pharo ..
Hazrat Abdulah Bin Jafar Byan kartay hain k Jab Hazrat Jafar ki Shahadat ki Itlah NABI E KAREEM Ko howi to Farmaya Jafar k GHAR WALO k lye KHANA tiyar kro.
Ref=(Sunan Ibn Maja Urdu jild 1 Hadis 1610)
NOTE : To Shaheed ki Yad mai Khana tiyar karana to SUNAT E RASOOL Saww hy , Hum b MOLA HUSAIN AS Syed ush Shohda ki Shahadat k Silsaly Khanay Pakatay hain,
Pir ..
Abu Huraira Say Rewayat hy k RASOOL E KARIM Saww apni Walida ki Qabr py Tashrif laye to RONAY Lage aur Jo Ap k Sath Log ty wo b RONAY Lage ..
Ref=(Sunan Nisai jild 1 Hadis 2038 Urdu , Kitab ul Janaiz)
To RONA Sunat e RASOOL ALLAH Aur SAHABA hy ..
Agr Hum Ghalat hain To Jin jin ka Zikr howa Jurat hy to Un logo ko Ghalat kaho.

0 Comments:

Post a Comment



 
Design by Free WordPress Themes | Bloggerized by Lasantha - Premium Blogger Themes | Affiliate Network Reviews